tumhaari be-niyazi to hamari bebasi lazim

tumhaari be-niyazi to hamari bebasi lazim
agar tum hi nahin sunte to apni khamushi lazim

zaban-e-haal kya bole sarishk-e-zakhm kya tapke
yahan khamoshiyon par bhi hai aksar khamushi lazim

manazil umr ki zahir maal-e-zindagi lazim
junun ki sarkhushi behtar surur-e-mai-kashi lazim

jamal-e-zat-e-wahid ki kai sanchon mein dhal dhal ke
buton tak baat pahunchi hai to un ki bandagi lazim

sukun-o-afiyat ke shahr hain gumnam virane
magar un tak pahunchne ke liye aawargi lazim

shuur-e-zarf mein aa kar sarapa zarf hun 'rahi'
nazar tishna hai lab tishna to dil ki tishnagi lazim


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close