tumhaari jab sin aai hain sajan dukhne ko lal ankhiyan hui hain tab sin duni khushnuma sahab-e-jamal ankhiyan qayamat aan hai is waqt mein un par nazakat ki dekho aai hain dikhne kis jhamak sin ye chhinal ankhiyan aise kyun tut aain josh sin pyare hararat ke lagi thi garm ho kar is qadar ye kis ke nal ankhiyan ilaj un ka hai pyare aashiqon ke sang ki haldi rangen is mein kaho kapda karen apna rumal ankhiyan mera dil potli ki tarah un par le ke tuk phero mujarrab totka hai is mein aa jaangi bahaal ankhiyan zarar hai tund ho kar dekhna bimar kun pyare tuk ek parhez kar aashiq pe do din mat nikal ankhiyan mera dukhta hai ji ye anmanahat dekh kar un ka ubalta hai bahut jab dekhta hun main malal ankhiyan nazar badta hun apni jaan-o-ji ko main karun sadqe agar dewen mujhe apni shifa hone ki fal ankhiyan saza hai un ke tain ye dard thoda sa ki karti thin hamesha chashm-poshi 'abru' ka dekh haal ankhiyan