tumhaari yaad mein hum jashn-e-gham manaen bhi kisi tarah se magar tum ko yaad aaen bhi chhalak hi padte hain khud hi gulab aankhon ke wo pas aaen to ye dastan sunain bhi har ek lamha yahi bekali si hai dil mein ki un ko yaad karen un ko bhul jaen bhi jawan gehun ke kheton ko dekh kar ro den wo ladkiyan ki jinhen bhul baithin maen bhi tamam umr yunhi ratjagon se kya hasil unhen bhulaen zara nind ko bulaen bhi sukun milta hai jalti hui dopahron mein bani hain marham-e-dil dhup ki shuaen bhi rawa-rawi mein hai har ek sohbat-e-yaran milen sakun se to qisse tere sunaen bhi wo jin ke zikr se 'nahid' zindagi hai hasin wo log aaen to aankhon pe hum bithaen bhi