tumhein aisa be-rahm jaana na tha gharaz kya kahen dil lagana na tha agar us gali se nikalte to phir do aalam mein apna thikana na tha liya imtihan-e-wafa hi mein ji hamein yan talak aazmana na tha wo tha kaun sa tera tir-e-sitam ki main aah us ka nishana na tha kiya kis ki aankhon ne 'rasikh' pe sehr wo aage to aisa diwana na tha