tumhein ghamon ka samajhna agar na aaega to meri aankh mein aansu nazar na aaega ye zindagi ka musafir ye be-wafa lamha chala gaya to kabhi laut kar na aaega banenge unche makanon mein baith kar naqshe to apne hisse mein mitti ka ghar na aaega mana rahe hain bahut din se jashn-e-tishna-labi hamein pata tha ye baadal idhar na aaega lagegi aag to samt-e-safar na dekhegi makan shahr mein koi nazar na aaega 'wasim' apne andheron ka khud ilaj karo koi charagh jalane idhar na aaega