tumhein is dil se kya aadi hua hai ki jalne ka diya aadi hua hai use nind aae bhi to kaise aae wo mere khwab ka aadi hua hai wo aae to fazaen jhumti hain kisi ka rasta aadi hua hai kaha rota hai kyun dil ko sambhaalo to hans kar ye kaha aadi hua hai zamane ko na jaane ye hua kya zamana aap ka aadi hua hai