tumhein jitni mayassar hun usi par iktifa kar lo

tumhein jitni mayassar hun usi par iktifa kar lo
wagarna chhod jaane ka gawara faisla kar lo

ye aankhen hain ye aansu hain ye chehra hai ye muskanen
inhen begana kar lo chahe in ko aashna kar lo

jahan tak bhi mere hamrah chal sakte ho chal dekho
mohabbat ke liye hamwar koi rasta kar lo

abhi din dhal raha hai raushni aankhon mein baqi hai
hamare samne apna sarapa runuma kar lo

ye mausam phir na aaenge to zardi mustaqil hogi
bahaaron se lipat kar zindagani ko hara kar lo

koi apne liye shayad ziyaada ji nahin sakta
kisi ka aakhiri paigham hai ye rabta kar lo

ta'alluq ki bahaali 'shaziya-akbar' nahin mumkin
chalo itna karo rang-e-tamanna ko naya kar lo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close