tumhein khabar bhi na mili aur hum shikasta-haal tumhaare qadmon ki aandhi mein ho gae pamal tere badan ki mahak ne sula diya tha magar hawa ka andha musafir chala anokhi chaal wo ek nur ka sailab tha ki usi ka safar wo ek nuqta-e-mauhum tha ki ye bad-haal ajib rang mein warid hui khizan ab ke damakte hont sulagti nazar dahakte gal tere karam ki to har su mahakti barkha thi hamin the jin ko hua bhiga pairahan bhi wabaal