tumhin batao ki ho dil mera na kyon ghamgin

tumhin batao ki ho dil mera na kyon ghamgin
hazar ranj-o-musibat aur ek jaan-e-hazin

na jaane kitne nasheb-o-faraaz se guzri
magar hayat hai yaro abhi wahin ki wahin

kyon ho gaya tha khafa tujh se bas yahi puchhun
rah-e-hayat mein mil jae tu mujhe jo kahin

kabhi to baith ke har baat saf kar warna
mera guman pahunchne ko hai ba-hadd-e-yaqin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close