tum ne bimar-e-mohabbat ko abhi kya dekha jo ye kahte hue jate ho ki dekha dekha tifl-e-dil ko mere kya jaane lagi kis ki nazar main ne kambakht ko do din bhi na achchha dekha le gaya tha taraf-e-gor-e-ghariban dil-e-zar kya kahen tum se jo kuchh wan ka tamasha dekha wo jo the raunaq-e-abaadi-e-gulzar-e-jahan sar se pa tak unhen khak-e-rah-e-sahra dekha kal talak mahfil-e-ishrat mein jo the sadr-nashin qabr mein aaj unhen be-kas-o-tanha dekha bas-ki nairangi-e-alam pe use hairat thi aaina khak-e-sikandar ko sarapa dekha sar-e-jamshed ke kase mein bhari thi hasrat yas ko moatakif-e-turbat-e-dara dekha