tum ne dekha hai kabhi dil ye hamara tuta dekhne aata hai har sham sitara tuta reg-e-sahil pe kisi nam ka aansu tapka mauj-e-betab se dariya ka kinara tuta dil ki ek samt banaya tha koi shish-mahal gham ki aandhi mein magar sare ka sara tuta tez raftar safar se to gurezan hi rahe hum kisi yaad mein gum the ki ishaara tuta hum to samjhe the mohabbat mein badi taqat hai ye bharam bhi to sar-e-husn hamara tuta ek mazbut talluq hai shikasta 'manzar' khud ko barbaad kiya us ko sanwara tuta