tum ne puchha hai to ahwal bata dete hain warna chehre bhi mah-o-sal bata dete hain ruh ka haal bhi ai kash batae koi dil ki haalat to khad-o-khal bata dete hain ab marasim bhi bisaton pe saje mohre hain kaun si kis ne chali chaal bata dete hain kis mein ab kitni udanon ki sakat baqi hai har parinde ke par-o-baal bata dete hain dil ke ghunche bhi the masum hamare jaise kis ke hathon hue pamal bata dete hain hakim-e-waqt ko kis kis ne salami di hai kis ki tali mein hai sur-tal bata dete hain ghar ki diwar se girte hue roghan ki tarah ab meri umr mere baal bata dete hain