turra use jo husn-e-dil-azar ne kiya andher gesu-e-siyah-e-yar ne kiya gul se jo samna tere rukhsar ne kiya mizhgan ne wo kiya ki jo kuchh khar ne kiya naz-o-ada ko tark mere yar ne kiya ghamza naya ye turk sitamgar ne kiya afshan se kushta abru-e-khamdar ne kiya jauhar se kaam yar ki talwar ne kiya qamat teri dalil qayamat ki ho gai kaam aaftab-e-hashr ka rukhsar ne kiya meri nigah ke rashk se rauzan ko chandi rakhna ye qasr-e-yar ki diwar ne kiya sauda-e-zulf mein mujhe aaya khayal-e-rukh mushtaq raushni ka shab-e-tar ne kiya hasrat hi bosa-e-lab-e-shirin ki rah gai mitha na munh ko tere namak-khwar ne kiya fursat mili na girya se ek lahza ishq mein pani mere lahu ko is aazar ne kiya simab ki tarah se shagufta hua mizaj iksir mujh ko mere kharidar ne kiya qad mein to kar chuka tha wo ahmaq barabari majbur sarw ko teri raftar ne kiya hairat se pa-ba-gil hue rauzan ko dekh kar diwar hum ko yar ki diwar ne kiya patthar ke aage sajda kya tu ne barhaman kafir tujhe tere but-e-pindar ne kiya kawish mizha ne ki rukh-e-dilbar ki did mein pa-e-nigah se bhi khalish khar ne kiya aashiq ki tarah main jo laga karne bandagi aazad dagh de ke kharidar ne kiya eajaz ka ojab lab-e-jaan-bakhsh se nahin paighambar us ko mushaf-e-rukhsar ne kiya turra ki tarah se dil-e-ashiq ko pech mein kis kis lapet se teri dastar ne kiya aankhon ko band kar ke tasawwur mein bagh ke gulshan qafas ko murgh-e-giraftar ne kiya nalan hua main us rukh-e-rangin ko dekh kar bulbul mujhe nazara-e-gulzar ne kiya hakla ke mujh se baat jo us dil-ruba ne ki kis husn se ada use takrar ne kiya ulta udhar naqab to parde pade idhar aankhon ko band jalwa-e-didar ne kiya lazzat ko tark kar to ho duniya ka ranj dur parhez bhi dawa hai jo bimar ne kiya na-saf aaina ho to bad-tar hai sang se raushan ye haal hum ko jalakar ne kiya halqa ki naf-e-yar ke tarif kya karun gol aisa daera nahin parkar ne kiya diwan-e-husn-e-yar ki 'atish' jo sair ki diwana bait abru-e-khamdar ne kiya