tut jaane mein khilaunon ki tarah hota hai aadmi ishq mein bachchon ki tarah hota hai is liye mujh ko pasand aata hai sahra ka sukut is ka nashsha teri baaton ki tarah hota hai hum jise ishq mein dete hain khuda ka mansab pahle pahle hamein logon ki tarah hota hai jis se banna ho talluq wahi zalim pahle ghair hota hai na apnon ki tarah hota hai chandni-raat mein sadkon pe qadam mat rakhna shahr jage hue nagon ki tarah hota hai bas yahi dekhne ko jagte hain shahr ke log aasman kab teri aankhon ki tarah hota hai us se kahna ki wo sawan mein na ghar se nikle hafiza ishq ka sanpon ki tarah hota hai us ki aankhon mein umad aate hain aansu 'tabish' wo juda chahne walon ki tarah hota hai