tut kar andar se bikhre aur hum jal-thal hue tujh se jab bichhde to itna roe hum baadal hue the kabhi aabaad jo zakhmon ke phulon se yahan dekhna wo shahr is mausam mein sab jangal hue dhup se mahrumiyon ki the hirasan log sab ruh ke aazar se kuchh aur bhi pagal hue jin se wabasta thi 'shabnam' zindagi ki har khushi aah kaise log the nazron se jo ojhal hue