tut kar girti fasilon par hawa ka shor tha raat bhar shahr-e-badan mein kis bala ka shor tha dhup nikli to wahi pyasi zamin ke hont the bastiyon mein dur tak gahri ghata ka shor tha tair-e-khushbu ke haq mein hijraten wirsa huin khema-gah-e-gul mein wo baad-e-saba ka shor tha shahr sara khauf ke gunge qile mein qaid tha ek khuda-e-waqt ki hakim sada ka shor tha wo faqat ek shor tha hum par pas-e-maqtal khula halqa-e-yaran mein jo rasm-e-wafa ka shor tha