TuTa hai bas KHushi ka bharam aur kuchh nahin

tuta hai bas khushi ka bharam aur kuchh nahin
paya hai sirf dard-o-alam aur kuchh nahin

mujh par garan ye hijr ki ab kali raat hai
tanhaiyon mein ghutta hai dam aur kuchh nahin

bechainiyon ke sath tahal kar tamam raat
panw mein rah gae hain waram aur kuchh nahin

munh modna wo dil ka jalana mere habib
dhae gae hain mujh pe sitam aur kuchh nahin

dhadkan udas dil pe udasi ki dhup hai
lipta hai mujh se tera ye gham aur kuchh nahin

'haidar' ki dhadkanon ki sada hai ye ham-nashin
dil pe hai tera nam raqam aur kuchh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close