TuTa TuTa sa mere sath paDa tha wo bhi

tuta tuta sa mere sath pada tha wo bhi
mere ham-dosh hawaon se lada tha wo bhi

main bhi izhaar-e-tamanna pe hua tha nadim
sar jhukae hue kuchh soch raha tha wo bhi

jaane kya baat thi bhiga nahin daman us ka
raat khwahish ke samandar mein gira tha wo bhi

wo mila tha meri takmil ki khatir mujh se
chand lamhon mein magar tut gaya tha wo bhi

ajnabiyyat ki wo kya sakht ghadi aai thi
mujh ko ghairon ki tarah dekh raha tha wo bhi

apni hasti bhi hawaon mein kahin kho baitha
ek bagule ki tarah yun to utha tha wo bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close