tute hue khilaune nishani mein de gaya dhoka mujhe wo ain jawani mein de gaya ye aur baat misra-e-ula mein kuchh nahin lekin wo husn misra-e-sani mein de gaya dariya ne tishna-lab se siyasat ajib ki kuchh zahr bhi mila ke wo pani mein de gaya laya hazar khushiyan mujhe saunpne magar phir kyun ye ranj resha-dawani mein de gaya karna pada na hum ko zaifi ka intizar wo maut ka maza bhi jawani mein de gaya 'anwar' ka haal aa ke koi dekh le zara kaghaz ke phul koi nishani mein de gaya