tute hue ped gin raha hun main apne paron ko dekhta hun lab-basta hun phir bhi bolta hun yar khud se nabard-azma hun basti koi rah na jae baqi dar dar pe sada laga chuka hun honton pe sukut khamushi hai lamhon ke hisar mein ghira hun raste hain tamam ate ate se main kaise kahun gurez-pa hun ai nahr-e-furaat de gawahi pyason ka khiraj mangta hun shayad koi shahsawar nikle sahra pe kamand dalta hun khud par yaqin uth chala hai ab raat dhali to so gaya hun