tuti hai meri nind magar tum ko is se kya bajte rahen hawaon se dar tum ko is se kya tum mauj mauj misl-e-saba ghumte raho kat jaen meri soch ke par tum ko is se kya auron ka hath thamo unhen rasta dikhao main bhul jaun apna hi ghar tum ko is se kya abr-e-gurez-pa ko barasne se kya gharaz sipi mein ban na pae guhar tum ko is se kya le jaen mujh ko mal-e-ghanimat ke sath adu tum ne to dal di hai sipar tum ko is se kya tum ne to thak ke dasht mein kheme laga liye tanha kate kisi ka safar tum ko is se kya