tuti hui diwar ka saya to nahin hun main tera hi bhula hua wada to nahin hun guzra tha dabe panw jahan se tu shab-e-mah main hi wo tera bagh-e-tamanna to nahin hun jis naqsh pe chalne ki qasam khati hai duniya main hi wo tera naqsh-e-kaf-e-pa to nahin hun auron se mera nam ulajhta hai to uljhe shikwa tujhe kyun ho ki main tera to nahin hun kyun khud ko na chahun ki tera dil to nahin main kyun khud ko bhula dun ki zamana to nahin hun tu meri zarurat meri aadat to nahin hai mahtab-e-zamin mein tera haala to nahin hun baghon se udai hui khushbu hi sahi tu main nikhat-e-be-bak ka parda to nahin hun main aks-e-gurezan to nahin apni ana ka main tera hi tuta hua rishta to nahin hun main aakhiri jadu to nahin sahir-e-shab ka sahma hua main subh ka tara to nahin hun