tutti fariyaad ki socho kabhu ai ham-nashin us junun ke baad ki socho kabhu ai ham-nashin lutf tum ko aa raha hai chaar din ke ishq mein ta-abad ek yaad ki socho kabhu ai ham-nashin aankh rone bhi na pae aur dil ho gham-zada zabt ke miad ki socho kabhu ai ham-nashin tum kabhi pahlu badal kar is zamin se aa lago phir dil-e-barbaad ki socho kabhu a ham-nashin sher sun kar wah karna lazmi tha yar par bebasi par dad ki socho kabhu ai ham-nashin