ubal pada yak-ba-yak samundar to main ne dekha khula jo raaz-e-sukut lab par to main ne dekha utar gaya rang-e-ru-e-manzar to main ne dekha hati nigah-e-bahaar yaksar to main ne dekha na jaane kab se wo andar andar sulag raha tha mila jo diwar mein mujhe dar to main ne dekha tamam gard-o-ghubar dil se nikal chuka tha baras chuka abr-e-ashk khul kar to main ne dekha nishan qadmon ke raste mein chamak rahe the guzar gaya wo nazar bacha kar to main ne dekha mila ke mitti mein rakh di us ne ibaadat us ki jo mere aage na kham kiya sar to main ne dekha