ubharti dubti sanson ka silsila kyun hai kabhi ye soch ki jo kuchh hua hua kyun hai bane hain ek hi mitti se hum sabhi lekin hamari soch mein is darja fasla kyun hai laga rakha hai ye kis ne kadi ko andar se ujad ghar ka daricha dara dara kyun hai abhi to phul bhi aae nahin hain shakhon par abhi se bojh darakhton pe pad raha kyun hai thahar gaya hai wo aa kar ana ke nuqte par usi ke sath mera waqt ruk gaya kyun hai tumhin ne soch ke bichchhu laga ke rakkhe the nahin to zakhm tumhaara hara-bhara kyun hai samajh raha hai ki teri koi sunega nahin tu apne jism ki chikhon se bolta kyun hai