udas bas aadatan hun kuchh bhi hua nahin hai

udas bas aadatan hun kuchh bhi hua nahin hai
yaqin mano kisi se koi gila nahin hai

adhed kar si raha hun barson se apni parten
natijatan dhundne ko ab kuchh bacha nahin hai

zara ye dil ki umid dekho yaqin dekho
main aise masum se ye kah dun khuda nahin hai

main apni mitti se apne logon se kat gaya hun
yaqinan is se bada koi saneha nahin hai

to kya kabhi mil sakenge ya baat ho sakegi
nahin nahin jao tum koi masala nahin hai

wo raaz sine mein rakh ke bheja gaya tha mujh ko
wahi jo ek raaz mujh pe ab tak khula nahin hai

main bughz nafrat hasad mohabbat ke sath rakhun
nahin miyan mere dil mein itni jagah nahin hai

chahaar jaanib ye be-yaqini ka ghup andhera
ye meri wahshat ka inkhila hai khala nahin hai

usi ki khushbu se aaj tak main mahak raha hun
wo mujh se bichhda hua hai lekin juda nahin hai

likha hua hai tumhaare chehre pe gham tumhaara
hamari haalat bhi aisi be-majra nahin hai

ye taza-kari hai tarz-e-ehsas ka karishma
mere lughat mein to lafz koi naya nahin hai

naya hunar sikh fi-zamana ho jis ki waqat
sukhan ki nisbat se ab koi puchhta nahin hai

jise ho 'irfan'-e-zat wo kya teri sunega
o naseha chhod de koi faeda nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close