udas ek roz kar gaya main to kya karoge

udas ek roz kar gaya main to kya karoge
tumhaara shair hun mar gaya main to kya karoge

hazar hathon se main samete hue hun tum ko
agar kahin khud bikhar gaya main to kya karoge

mere qadam se qadam mila kar to chal rahe ho
jo tum se aage guzar gaya main to kya karoge

kise pukaroge aur kis ko sadaen doge
sukut-e-jaan mein utar gaya mein to kya karoge

jo dard sa kaenat mein hai wo dard ban kar
tumhaare dil mein utar gaya main to kya karoge

tumhaari zulfon se khelte khelte kisi roz
hawa se aage guzar gaya main to kya karoge

jo hum ne khai thin jine marne ki sath qasmen
agar wo khud tod kar gaya main to karoge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close