udas itna ki jaise kabhi hansa hi nahin

udas itna ki jaise kabhi hansa hi nahin
wo shakhs mujh se to sach hai ki bolta hi nahin

mujhe bhi sath hi rakhna safar ki gardish mein
badhun jo khud kisi jaanib ye hausla hi nahin

salakhen garm karo jism dagh kar dekho
mera wajud kisi gham se khaulta hi nahin

kahen to kis se ki hum dukh ki dastan thahre
nagar mein koi kahin ham-zaban raha hi nahin

main us ko qatl kiye phir raha hun barson se
kahan pe dafn karun na'sh sujhta hi nahin

mera khulus jo dekho to dushmani bhulo
kahoge 'soz' sa yaro kahin mila hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close