udas kamre ke kone kone mein jaise ghussa paDa hua hai

udas kamre ke kone kone mein jaise ghussa pada hua hai
ye cup mein chae nahin hai parson se ek lamha pada hua hai

hamari basti ke sare basi nae safar par nikal pade hain
purani chaupal mein purani pari ka qissa pada hua hai

adhuri ulfat ka raaz hai ye ki sab adhure hi rah gae hain
ye zard patton mein aadha cigarette nahin hai misra pada hua hai

bichhadne wale ki chaarpai se meri nazren lipat gai hain
kise khabar hai ki chaarpai pe ek sadma pada hua hai

tumhaari jaanib main chalte chalte ab is dorahe pe aa khada hun
jahan pe aane na aane ke bich ek arsa pada hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close