udas naina jo baraste hain sahab ki tarah to gham ke phul bhi mahakte hain gulab ki tarah laraz laraz ke aise yaad aate hain wo guzre din ki nafs nafs jhanjhanata hai rabab ki tarah ye duniya ke nazare yaaden khwab ishq zindagi lubhate hain yahan pe sab ke sab sarab ki tarah jahan ke zulm sahte sahte fakhta bhi barha aqab se panje marti hai phir uqab ki tarah jahan-e-husn ka yahi hua hai hashr har dafa ki chaar din mein ye ghata hai mahtab ki tarah zaban pe jab bhi aah ban ke aarzu machalti hai to dard sina mein ubharta hai habab ki tarah pila de jam saqiya ki raat aane wali hai hamein fulan ki yaad aai phir azab ki tarah