udas raat hai koi to khwab de jao mere gilas mein thodi sharab de jao bahut se aur bhi ghar hain khuda ki basti mein faqir kab se khada hai jawab de jao main zard patton par shabnam saja ke laya hun kisi ne mujh se kaha tha hisab de jao adab nahin hai ye akhbar ke tarashe hain gae zamanon ki koi kitab de jao phir us ke baad nazare nazar ko tarsenge wo ja raha hai khizan ke gulab de jao meri nazar mein rahe dubne ka manzar bhi ghurub hota hua aaftab de jao hazar safhon ka diwan kaun padhta hai 'bashir-badr' ka koi intikhab de jao