udas udas tabiat jo thi bahalne lagi abhi main ro hi raha tha ki rut badalne lagi pados walo! darichon ko mat khula chhodo tumhaare ghar se bahut raushni nikalne lagi zara thame the ki phir ho gae rawan aansu jo ruk gai thi wo gham ki baraat chalne lagi bhala ho shahr ke logon ki khush-libasi ka ki be-kasi bhi mera pairahan badalne lagi thahar gai hai kahan aa ke dhalte dhalte raat meri nazar bhi charaghon ke sath jalne lagi nazar uthi to andhera tha jab qadam utthe shua-e-mahr mere sath sath chalne lagi sitam-zarifi-e-fitrat to dekhiye 'azhar' shabab aaya ghazal par to umr dhalne lagi