udasi ka ye patthar aansuon se nam nahin hota hazaron jugnuon se bhi andhera kam nahin hota kabhi barsat mein shadab belen sukh jati hain hare pedon ke girne ka koi mausam nahin hota bahut se log dil ko is tarah mahfuz rakhte hain koi barish ho ye kaghaz zara bhi nam nahin hota bichhadte waqt koi bad-gumani dil mein aa jati use bhi gham nahin hota mujhe bhi gham nahin hota ye aansu hain inhen phulon mein shabnam ki tarah rakhna ghazal ehsas hai ehsas ka matam nahin hota