udasiyon ka hamein aasra shurua se hai ye aariza hai to phir aariza shurua se hai wo pura sach hai to us ki gawahi aadhi kyun use khuda se yahi to gila shurua se hai kisi ke rang ke marhun hain na lahje ke ki hum mein jo bhi hai achchha bura shurua se hai na tum ne puchha kabhi aur na hum ne batlaya wagarna ghar ka yahi rasta shurua se hai tumhein to aaj zamane ne rad kiya hai magar hamare sath yahi masala shurua se hai khuda ka zikr hua hai to yaad aaya hai hamare pas to apna khuda shurua se hai hamari aankh mein ek khwab hai tumhaare liye magar ye shart hai wo dekhna shurua se hai hum apne apne nasibon ki duriyon pe khade hamare beach koi fasla shurua se hai