uDe hain kucha-e-dilbar mein jaan se guzre

ude hain kucha-e-dilbar mein jaan se guzre
ye jaan kya hai ki donon jahan se guzre

agar wo hosh-ruba sar-basar jo ho mahkum
to hai qasam ki har ek aan man se guzre

basanti posh karun hae re main aankhon se
tu zer-e-chashm agar khun-fishan se guzre

qasam hai tuj ko chhidakwa ke jam hi jawega
jo rang qatra-e-ab-e-chakan se guzre

nahin khabar tujhe naseh ki hum gae kan tak
tere to aql-o-qayas-o-guman se guzre

main ek kashish mein pahunch jaun yar tak apne
jo tir chhut ke jaisa kaman se guzre

jo chhar-chhada ke dil-la-makan kare parwaz
tawaqqo hai ki nawon aasman se guzre

khayal-e-yar ka tausan hai khush-khiram mera
khuda kabhi na kare zer-e-ran se guzre

agar nasib hi ho jae faqr ka mujhe fakhr
to zindagi meri kya izz-o-shan se guzre

sukhan hain halqa-e-misra mein jyun dur-e-shahwar
hai ye rija ki qadar-dan ke kan se guzre

ai 'imtiyaz' tu ho zaer-e-madina haram
to kya surur-o-khushi aan aan se guzre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close