udhar to dar par rakkha hua hai idhar pairon mein sar rakkha hua hai kam az kam is sarab-e-arzu ne meri aankhon ko tar rakkha hua hai samajhte kya ho hum ko shahr walo bayaban mein bhi ghar rakkha hua hai hum achchha mal to bilkul nahin hain hamein kyun bandh kar rakkha hua hai mere haalat ko bas yun samajh lo parinde par shajar rakkha hua hai jihaalat se guzara kar raha hun kitabon mein hunar rakkha hua hai