udhar wo be-murawwat bewafa be-rahm qatil hai

udhar wo be-murawwat bewafa be-rahm qatil hai
idhar be-sabr-o-be-taskin-o-be-taqat mera dil hai

udhar sayyaad chashm-o-dam-e-zulf-o-nawak-e-mizhgan
idhar pahlu mein dil ek said-e-laghar nim-bismil hai

udhar us ko to mere nam se bhi nang hai har-dam
idhar sine mein dil mushtaq hai aashiq hai mail hai

udhar wo khud-parast ayyar hai maghrur hai khud-been
idhar mera dil az-khud-rafta hai shaidai ghafil hai

udhar har roz ka us ko khilaf-e-wada hai aasan
idhar shab-ta-sahar-gah intizari sakht mushkil hai

udhar khush sair-e-dariya se hai wo na-ashna zalim
idhar hum gharq-e-bahr-e-gham hain aur napaid sahil hai

udhar barq-e-nigah hai sabr ke khirman ki aatish-zan
idhar kisht-e-ummid-o-yas ab tak sair-e-hasil hai

udhar shane ko us ke zulf-o-kakul ne chadhaya sar
idhar dil par bala-e-asman yak-dast nazil hai

udhar baqi hawas hai be-hisab us ko jafaon ki
idhar likhiye wafaon ki to kuchh apna hi fazil hai

udhar wo aaine mein aks-e-ru apne ka hai mail
idhar har shai mein wo hai jalwa-gar-e-shakl-o-shamail hai

udhar hai ikhtilat aghyar se us yar-e-jaani ka
idhar dil zikr us ke ka 'muhib' din raat shamil hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close