udne lagi thi chandni ban kar khizan ki dhul hum ne dabae aag mein kin hasraton ke phul panw ke pher ne kiya mathe ko zard khar taza gulon ki pyas ne lab kar diye babul ujli nigah ka tir bhi aari na kar saka roti zaban ne bhar diye qisson mein surkh sul pani ke bulbule mein bichhi zist ki bisat phir us tahi anar mein gham ne kiya nuzul murghabiyon ke pair se bandhi adam ki mauj is aabi aasman ko diya phir nafas ka tul ye be-mahaar untni sheron ki dekhiye karti hai kya ghazal ki aankhon se jhul jhul