ufuq ke aakhiri manzar mein jagmagaun main hisar-e-zat se niklun to khud ko paun main zamir o zehn mein ek sard jang jari hai kise shikast dun aur kis pe fath paun main tasawwuraat ke aangan mein chand utra hai rawish rawish teri chahat se jagmagaun main zamin ki fikr mein sadiyan guzar gain 'ajmal' kahan se koi khabar aasman ki laun main