ufuq ke us par zindagi ke udas lamhe guzar aaun agar mera sath de sako tum to maut ko bhi pukar aaun kuchh is tarah ji raha hun jaise uthae phirta hun lash apni jo tum zara sa bhi do sahaara to bar-e-hasti utar aaun badal gae zindagi ke mehwar tawaf-e-dair-o-haram kahan ka tumhaari mahfil agar ho baqi to main bhi parwana-war aaun koi to aisa maqam hoga jahan mujhe bhi sukun milega zamin ke tewar badal rahe hain to aasman ko sanwar aaun agarche israr-e-be-khudi hai tujhe bhi zar-posh mahfilon mein mujhe bhi zid hai ki tere dil mein nuqush-e-mazi ubhaar aaun suna hai ek ajnabi si manzil ko uth rahe hain qadam tumhaare bura na mano to rahnumai ko main sar-e-rahguzar aaun