ufuq ufuq nae suraj nikalte rahte hain diye jalen na jalen dagh jalte rahte hain meri gali ke makin ye mere rafiq-e-safar ye log wo hain jo chehre badalte rahte hain zamane ko to hamesha safar mein rahna hai jo qafile na chalen raste chalte rahte hain hazar sang-e-giran ho hazar jabr-e-zaman magar hayat ke chashme ubalte rahte hain ye aur baat ki hum mein hi sabr-o-zabt nahin ye aur baat ki lamhat talte rahte hain ye waqt-e-sham hai ya rab dil o nazar ki ho khair ki is samay mein to sae bhi dhalte rahte hain kabhi wo din the zamane se aashnai thi aur aaine se ab 'akhtar' bahalte rahte hain