ujad ghar mein udas chehra tha yani main tha wo jis ki aankhon mein bahta dariya tha yani main tha jo panting mein hasin ladki thi yani tu thi jo sar jhukae udas ladka tha yani main tha wo tu hai jis pe hai jhil saif-ul-muluk marti wo jis ki mutthi mein banjh sahra tha yani main tha tum apni pahli mohabbaton ke jawaz chhodo wo tisra pyar jo tumhaara tha yani main tha suna hai titli ka istiara ghazal mein tu thi jo chand grahan ka istiara tha yani main tha tu shah-zadi aqiq ka takht chahti thi jo apni hasti mein bhut-bangla tha yani main tha