ujale tel chhidakne lage ujalon par ajib waqt pada hai charagh walon par tumhaara aalam-e-masti dhaka-chhupa hi sahi meri nigah hai tute hue pyalon par tumhaare zehn mein jo aaj chubh rahe honge main kal se soch raha hun unhin sawalon par na uth saka tere tarz-e-khiram se parda hawaen dal gain khak paemalon par muhakama na karen aap apni baaton ka ye kaam chhod diya jae sunne walon par musallimat se kyun qasd-e-inhiraf kya aqide tut pade hain mere sawalon par ye kya zarur ki rukh sab ka ek jaanib ho faza ki qaid lagao na udne walon par