ujle paron mein kaun chhupa hai pata nahin

ujle paron mein kaun chhupa hai pata nahin
mathe pe to kisi ke farebi likha nahin

galiyon mein koi aa ke phir ek bar chikh jae
muddat se sare shahr mein koi sada nahin

kajla gaya hai kitne hi qadmon tale magar
ye rasta ajib hai kuchh bolta nahin

bhatka kiya mein zard haqarat ke shahr mein
nili hadon ke par wo lekin mila nahin

har saz par ubharne lage bebasi ke git
aao ki raqs ke liye mausam bura nahin

kaghaz pe us ka nam likho aur kat do
wo shakhs bhi to ab hamein pahchanta nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close