ujli fasil mein rahi sine ki lahr lahr saton jalon ko pi ke bhi tuti na gham ki nahr kundan haweliyon ko khalaon ne aa liya taron ki aankh ro gae be-nuriyon ke shahr chhe samt ka ghubar tha basti mein dhup ki tilon pe hu ka raj tha zardi ke aath pahar khwabon ke hauz the ki tilismat chand ke afsun-garon ki aankh mein dube hue the bahr phirti phire hai panw ki zanjir le ke sath ji’be mein reze nur ke zambil mein sipahr