ujli ujli barf ke niche patthar nila nila hai teri yaadon mein ye sard december nila nila hai din ki rangat khair guzar jati hai tere bin lekin katthai katthai raaton ka har manzar nila nila hai dur idhar khidki par baithi soch rahi ho mujh ko kya chand udhar chhat par aaya hai thak kar nila nila hai teri nili chunari ne kya haal kiya baghiche ka narangi phulon wala gul-mohar nila nila hai baadal ke pichhe ka sach ab khola teri aankhon ne tu jo nihaare roz use to ambar nila nila hai husn bhale ho raushan tera lal gulabi rang liye ishq ka tere partaw lekin dil par nila nila hai ek to tu bhi sath nahin hai upar se ye barish uf ghar to ghar sara ka sara daftar nila nila hai