ulat gaya hai har ek silsila nishane par charagh ghat mein hain aur hawa nishane par ghazal mein us ko sitam-gar kaha to ruth gaya chalo ye harf-e-malamat laga nishane par main apne sine se sharminda hone wala tha ki aa laga koi tir-e-jafa nishane par khuda se aakhiri rishta bhi kat na jae kahin ki ab ke hai mera dast-e-dua nishane par wo shoala apni hi tezi mein jal bujha warna rakha tha khema-e-sabr-o-raza nishane par main intizar mein hun kaun use shikar kare bahut dinon se hai meri nawa nishane par