ulfat ka jurm karte hi diwana ho gaya aiwan-e-ishq mere liye thana ho gaya aawagaman hai ya ki tilism-e-nigah-e-husn insan tha sag-e-dar-e-jaanana ho gaya kuchh sakht-jaan ke qatl ka sadma nahin unhen us ki hai nigah tegh mein dandana ho gaya lale ki aag phulon ki aankhen chadhi huin sehn-e-chaman jo tha wo madak-khana ho gaya insaf kya kiya hai adalat ne husn ki aish-o-nishat-e-umr ka jurmana ho gaya piri ke bhi karishme nirale jahan mein hain qandhaar ka anar tha be-dana ho gaya