uljha hua bahut hai fasana hayat ka tum kya samajh sakoge bayan meri zat ka kuchh bhi kahun to pahle ye rakhta hun ehtiyat matlab badal na jae kahin meri baat ka chhota sa ek lafz-e-mohabbat hai aur kya halqa bada nahin hai meri kaenat ka achchha hua ki tut gai thi hamari nind ab tak hamein hai yaad bura khwab raat ka