uljhi hui sochon ki girhen kholte rahna achchha hai magar in mein lahu gholte rahna din bhar kisi manzar ke taaqub mein bhatakna aur sham ko lafzon ke nagin rolte rahna main lamha-e-mahfuz nahin ruk na sakunga udna hai mere sang to par taulte rahna khamosh bhi rahne se janaze nahin rukte jine ke liye ham-nafaso bolte rahna achchha nahin aaghaz-e-masafat hi mein 'nasir' kashti ka sar-e-ab-e-rawan dolte rahna